
snap saanp dekhna hazrat ibne sireen rahmatullah Alaihi ne farmaya hai keh azdaha ka khawab mein dekhna baray bhari dushman ka dekhna hai, jo dushmani qawi rakhta hai.
agar dekhe keh wo azdaha rakhta hai to daleel hai keh bazurgon se milega aur agar dekhe keh azdaha jang kar kay us par galib aa gia hai to daleel hai keh dushmanon se larega aur aakhir kaar dushman ko zair karega. aur agar dekhe keh saanp snap ko mara aur us ka gosht khaya to us amar ki daleel hai keh wo dushman par fatah paega aur us ka maal lega aur us maal ko khazana karega.
Hazrat jabar maghrabi ramhatullah alaihi ne farmaya hai keh agar saanp snap ne us ko khaya to daleel hai keh dushman se khauf hoga aur dushman us ko halak karega.
aur agar dekhe keh azdaha ki pushat par betha hai aur azdaha us kay tabeh farman hai to us amar ki daleel hai keh bohat bara dushman us ka tabedar hoga aur us kay sab karobar intezam se hongay.